[tamheed:
ye mubarak risalah woh hai jis ne wahabiyoN deobandiyoN ki munazarey ki raT aur ta'alliyoN ko khaak meiN mila diya. khuurjah ke deobandiyoN ne da'awat e munazarah dee thi, bey charey apnee Tawaghiyat ki chalbaziyoN sey naawaaqif the; da'wat e munazarah dey bayThe!
alaHazrat qiblah raDiyallahu ta'ala 'anhu ne ye mazmuun e Haqayiq mash'hoon ba saygha e registeri irsal farma diya, jiska tarikhi naam 'abhas e akheerah' hai. iske pahunchtey hi thanwi o ajodhya-bashi o chandpuri waghayrah ko sanp sungh gaya aur aaj tak iski tabishoN se dayabina malayina ki aankheN kheerah haiN aur qayamat tak iska jawab un se mumkin nahiN.]
-----
bismillahi'r Rahmani'r Rahim
naHmaduhu wa nuSalli `ala Rasulihi'l kareem
AlHamdulillah! is faqeer e bargah e Ghalib Qadeer `azza wa jall ke dil meiN kisi shakhs sey na zati mukhalifat na dunyawi khuSumat. mujhe mere sarkar abad qarar Huzur pur nur Sayyidu'l Abrar sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam ne mahz apney karam sey is khidmat par ma'mur farma diya ke apney musalman bhayiyoN ko aysoN ke Haal se khabardar rakhuN jo musalman kahla kar Allah Wahid Qahhar jalla jalaluhu aur MuHammad RasulAllah mazun Mukhtar sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam ki shan e aqdas par Hamlah kareN;
taakey mere `awaam bhaayi Mustafa Sallallahu `alayhi wa sallam ki bholi bhaali bheyDeN in '
ziyabun fi's siyab' ke jubboN imamoN maulviyat mashaykiyat ke muqaddas namoN, 'qalAllah o qala RasulAllah' ke roghani kalamoN sey dhokey meiN aakar shikar e gurgaN e khunkhar ho kar ma'azAllah saqar meiN na gireN.
yeh mubarak kaam bi Hamd al-Min'aam is `ajiz ki Taqat se badarjahaa khuub tar o fuzuN tar huwa aur hota hai; aur jab tak woh chahey gaa hoga.
dhalika min faDlillahi `alayna wa `ala an-nas; wa'l Hamdu lillahi Rabbi'l `alamin. [hum par aur logoN par yeh Allah ka fazl hai; aur sab ta'arifeN Allah Rabbu'l `alamin key liye haiN]
is sey ziyadah na kuch maqSud na kisee ki sabb o shatam o buhtan o iftara ki parwaah. mere sarkar ne mujhe pahley hi sunaa diya:
wa la tasma`unna mina'l ladhina uutu'l kitaaba min qablikum wa mina'l ladhina ashrakuu adhan katheera; wa in taSbiruu wa tattaquu fa inna dhalika min `azmi'l umuur. [bey shak zarur tum ahle kitab aur mushrikoN (ya'ani mukhalifoN) ki taraf se bahut kuch bura suno ge aur agar sabr o taqwa karo to woh baDi himmat ka kaam hai]
---
AlHamdulillah! yeh zabani iddi'aa nahiN meri tamam kar-rawayiyaN is par shahid e `adil haiN; muwafiq o mukhalif sab dekh rahey haiN ke amr e deen ke `ilawah jitney zaati Hamley mujh par huwey kisi ki aSlan parwah na ki. As'hab e faqir ney aap ki Taraf se qabil e jawab ishtihar ke lajawab jawab diye jo biHamdihi ta'ala laa-jawab rahey.
magar janab ke muhazzib `alim e muqaddas mutakallim mawlwi murtaza Hasan sahab devbandi chandpuri ke kamal e shusta o shayista dushnam namey "bareli chup shah giraftar" ki nisbat qaTa'yi mamani`at kardi jiska aaj tak udhar waloN ko iftikhaar hai ke hamarey gaali namah laajawab raha.
girami munshi mawlana sana'Allah amratsari mumkin o maujood meiN farq na jaan sakey; maqduurat e ilayhiyyah ko maujaadat meiN munHaSir Tahraya; `ilm e ilaahi ke naa-mahdood honey meiN apney aap ko muta'ammal batayaa aur jaatey hi ramzaan jaisey mubarak maheene meiN bar `aks chaap diyaa: 'maiN haraa aaya'.
idhar us par bhi iltifaat na huwa, `aaqilaN niko meedanand par iktifaa kiyaa.
yahaN tak waqa`yiy e makkah mu`azzamah meiN kayse kayse ma`akuus aur maSnu`u akaazeeb e fajirah akhbaroN meiN kis aab o taab sey chaapa kiye; harchand aHbaab ka israr huwa, faqir itna hi shaa`yiy karta hai ke "jhooT hai", itnaa bhi na kiyaa.
phir chand hi roz meiN hazraat ke jhooT khul gaye aur Wahid Qahhar ke zabardast hathoN ney un key munH meiN path'thar dey diye, us par bhi maiN ne itnaa na kaha ke: "kaysa aap SaHiboN kaa jhooT khulaa?".
aysey waqaa`yiy ba kasrat haiN aur ab jo Sahab chaaheN imtihaan farma leN. in shaa Allah al-Azeez zaati hamloN par kabhi iltifaat na hogaa. Sarkar sey mujhe yeh khidmat supurd hai ke `izzat e sarkar ki Himaayat karuN, na ke apnee.
maiN to khush huN ke jitni deyr mujhe gaaliyaN detey, iftara kartey, buraa kahtey haiN, utnee deyr MuHammad RasulAllah Sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam ki bad-goyee munqiSat juyee sey ghafil rahtey haiN; maiN chaap chukaa aur phir likhtaa huN meri aankh ki ThanDak is meiN hai ke meri aur merey aabaa kiraam ki aabruyeN `izzat e MuHammad RasulAllah Sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam ke liye sipar haiN.
Allahumma Aameen.
---
Tizkaraat:---------
1. aap jaantey haiN aur zamaney par raushan hai ke bifazlihi saalahaa saal sey kis qadar rasayil e kaseerah azeezah aap aur aap key akaabir janab maulvi gangohi sahab waghayrah ke radd meiN idhar sey shay`iy huwey aur bi Hamdihi ta'alaa hamesha laa jawaab rahey.
2. woh aur aap Sarahatan munazarah sey isti`yfaa dey chukey.
3. sawalaat gayey, jawaab na miley, rasayil bhejey, daakhil e daftar huwey, registeriyaN pahunchiN munkir ho kar waapis farmaadiN
4.akheer tadbeer ko devband jalsah meiN in ra'yisoN ke zariyey se jin ka janab par baar hai, taHreek ki; us par bhi aap saakit hi rahey.
5. rayeesoN ka daabv thaa; naachar dafa'a waqtee ko wahee chandpuri sahab aap ke wakeel baney; faqeer ney apney khaT o qalam sey janab ko registeri shudah card bheyjaa; phir kya aap munazarah e ma'alumah pey aamaadah huwey? kyaa aap ne chandpuri sahab ko apna wakeel e muTlaq kiyaa? saat (7) maheeney sey zaayid guzar gayey aap ne uska jawab na diyaa.
zaahir hai ke agar aap waaqa`yi aamadah huwey hotey, waaqa`yi aap ne wakeel kiyaa hotaa to 'HaaN' likh denaa dushwaar na hotaa; mardaana waar iqraar sey faraar na hotaa. ye hai woh farzi, laa-ya'ani, ghayr waaqi`y, mu`ahadah jiskey `aduul ka udhar ilzaam lagaya jata hai.
Sub'han Allah apney wakeel bi'l iddi`aa ki wakaalat aap na maaneN aur `aduul janib e khaSam se jaaneN? haaN janab to na boley, solah (16) din baad unheeN aap ke muwakkil
sahab ne lab kholey ke ham jo ru'usaa ke saamney apney munH aap hi da'awaa e wakaalat kar chukey haiN. ab janaab thanawi sahab sey daryaft karnaa zillat aur ruswayi, gardan ka Tawq, naapak chaaleN, beysharmi ke Heeley haiN [mulahazah ho unkaa shareefana muhazzib khaT mu'arrakhah 20 rabiy al-aakhir sharif san 1328 hijri] jo unki a'ala tahzeebon se namoona e khurdaari hai; yeh khiTab mahz us jurm par haiN ke thanvi sahab sey hamari wakaalat ka kyuN istifsaar kiyaa? unkey qabuul o `aduul par kyuN mawquuf rakhaa? hamara zabani iddi'aa kyuN na maan liyaa? janab thanawi sahab laakh na maaneN, hum jo unkey wakeel ban bayThey haiN, ab na maan-na beysharmi ka Heela hai; naapaak chaal hai; zillat hai, ruswaayi hai, Tawq e wabaal hai!
Janab thanawi sahab! aap apne muwakkil ya'ani khud saakhta wakeel sahab ki babat khud hi fayslah farma saktey haiN; aaj tak aysi wakalat kisi ghayr majnoon ke nazdeek qaabil e qabool ya koyi `aaqil aysey hazraat sey khiTaab rawaa rakhey gaa?
---
6. jalsah e devband ke ba'ad janab maulvi gangohi Sahab ke eyk shagird e rashid maulvi `ali raza modi ney aap hazrat sey munazarah karleyne ki taHrik ki; unheN fauran likha gaya, yahaN to barsoN sey yahi darkhwast hai. janab gangohi saHab apni raah gaye, janaab thanawi sahab bhi unhiN kee raah par muhr bar lab haiN; aap hi himmat keejiye aur thanawi SaHab se jawaab laa deejiye; uskey pahchan-ney par un SaHab ney bhi himmat haar dee.
7. aznab e janab ke iftara'a e a'azam par musalmanoN ne panch sau (100) rupiye naqd ka ishtihaar diyaa aur aap ko registeri bhejaa; aap na jawaab dey sakey na suboot.
8. duusrey ashadd iftara'a naameh par teen hazaar rupiye kaa ishtihaar aap ko diyaa aur registeri bhejaa. agar tamaam jama'at sey kuch ban paDti to apney madrasah e devband ke liye itnee baDi raqam na choRi jaati; magar na jawaab hi mumkin huwaa na suboot; naachaar, chaarah e kaar wahee sukoot.
9. ye maana ke jab jawaab ban hi na paRey to kya keejiye; kahaaN se laayiye? kis ghar se deejiye? magar janaab e waala! aysi sooratoN meiN inSaaf yeh thaa key apney atba'a ka munh band kartey.
mu'amalah e deen meiN aysee naa guftanee? Harakaat par unheN lajaatey sharmatey. agar janaab ki Taraf sey targheeb na thi to kam az kam aap key sukoot ney unheN shah dee; yahaN tak key unhoN ney "sayf an-naqee" jaysi taHreer shaa`yiy kee, jiski nazeer aaj tak kisee aarya yaa padri sey ban na paDhi.
ya'ani merey rasayil qahirah key qarz utaarney kaa yeh zariyah eejaad kiya ke merey waalid e maajid o jadd e amjad o peer o murshid - quddisat asraruhum - o khud huzur pur nurr sayyiduna ghaws e a'azam raDiyallahu ta'ala `anhu key asmaa-e-Tayyibah sey kitabeN ghaD leeN. unkey naam nihad maTba'a tarash liye; farzi Saf'HoN key nishaan sey `ibarateN taSneef karleeN jis kee mukhtasar jadwal yeh hai:
--------------------------------
nam-e-kitab : hadiyyatu'l bariyyah
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : walid e maajid quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : lahore
SafHaha e tarasheedah : 13
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : mas'alah e `ilm e ghayb
Saf'Hah e iftaraa'a : 11
nam-e-kitab : hadiyyatu'l bariyyah
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : walid e maajid quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : lahore
SafHaha e tarasheedah : 41
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : mas'alah e tabdeel e goristaan ba-Himaayat-e- gangohi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 20
nam-e-kitab : tuHfatu'l muqallideen
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : hazrat khatimu'l muHaqqiqeen
maTba'a e tarasheedah : Subah Sadiq, Sitapur
SafHaha e tarasheedah : 15
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : ta'areef e janaab gangohi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 3
nam-e-kitab : hidayatu'l islam
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : hazrat qudwatu's salikeen jadd e amjad quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : Subah Sadiq, Sitapur
SafHaha e tarasheedah : 30
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : mas'alah e `ilm e ghayb khaaS ba-Himaayat e thanawi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 11
nam-e-kitab : tuHfatu'l muqallideen
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : jadd e amjad quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : lucknow
SafHaha e tarasheedah : 12
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : tabdeel e goristaan ba-Himayat e gangohi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 20
nam-e-kitab : khazinatu'l awliya'a
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : alaHazrat sayyiduna Hamzah quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : kanpur
SafHaha e tarasheedah : 15
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : mas'alah e `ilm e ghayb ba-Himayat e thanawi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 11
nam-e-kitab : malfuzat
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : alaHazrat sayyiduna Hamzah quddisa sirruh
maTba'a e tarasheedah : mustafayi
SafHaha e tarasheedah : 17
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : tabdeel e goristan ba-Himayat e gangohi sahab
Saf'Hah e iftaraa'a : 21
nam-e-kitab : mir'atul Haqiqah
asmaa-e-Tayyibah muftara `alayhim : huzur pur-nur ghaws e a'azam raDiyallahu anhu
maTba'a e tarasheedah : misr
SafHaha e tarasheedah : 18
khulasah e ibarat-e-tarasheedah : mas'alah e `ilm e ghayb
Saf'Hah e iftaraa'a : 14
--------------------------------------------------
aur bey-dhaDak likh diya ke tum ye kahtey ho aur tumharey akabir apnee in kitaboN meiN, in maTabiy ke matbuu'at meiN, in Saf'HoN par yeh farmatey haiN; HaalaNkey in kitaboN kaa jahaaN meiN wujuud na in maTaabiy ka ke kisi maTba'a meiN chapeeN; na in hazraat ney taSneef farmayeeN, na Hawalah dahindah ke farz o taraash key baahar aayeN.
jur'at par jur'at yeh ke SafHah 20 par jo farzi maTba'a lahore ki khayali "hidayatu'l bariyyah" sey eyk fatwa gaRha us ke aakhir meiN hazrat khatim al-muHaqqiqin quddisa sirruh ki muhr bhi dil sey taraash li jis meiN san 1301 hijri likhey; Haalankey hazrat e waala ka wiSaal sharif 1297 hijri meiN ho chuka.
hazraat ki Haya! ye sakht gandah iftarayi risalah janab ke madrasah e devband sey shaayi`y huwa. Sahib e maTba'a ka bayan hai ke aap ke eyk mutakallim muSannif maulvi Sagheer Husayn sahab devbandi ne chapwaaya. aapke wakeel maulvi murtaza Hasan devbandi ney apne eyk khat meiN isey iftikhaaran peysh kiyaa ke:
taHreer meiN bhi ab aap kee Haqiqat dekhni hai. "sayf an-naqee" Taba'a ho chukaa hai, mulahazey sey guzra hoga (mulahazah ho khaT 30 rabiy al-akhir, san 1328 hijri).
jab Haya o deen o ghayrat o diyanat o `aql o insaniyat ki naubat yahaN tak mushahidah huwee har zee fahm ney jaan liya key bahs ka khatimah ho gayaa. hazraat sey mukhatibah kisi `aaqil kaa kaam na rahaa.
alHamdulillah, kutub o rasayil e faqeer to chattees (36) saal sey laajawaab haiN; aS'Haab o aHbaab e faqeer ke rasaayil bhi bi `awnihi `azza jalaluhu laajawaab hi rahey. idhar key taazah rasaayil:
1.zafar ad-din at-Tayyib
2. keen kush panjah peych
3. barish e sang
4. paykaan jaaN gudaaz
5. al-azab al-biys
6. zaroori notes
7. niyaaz naamah
8. kashf e raaz
9. ishtihaar e chaharum
10. panjam
11. haftam
12. hashtam
hi mulahazah farmayiyey. kis sey jawaab ho sakaa? in key iyterazoN muwakhizoN aur muTaliboN ka kis ney qarz adaa kiyaa?
baat badal kar idhar udhar ki muhmil lachar agar eyk aadh parchey meiN kisi Sahab ney kuch farmayi, uska jawaab fauran shayi`y huwaa ke phir udhar muhr e sukoot lag gayee, wal Hamdu lillahi Rabbi'l `alamin.
magar aap kee yeh tadbeer hazraat ko aysee sujhee jis ka jawaab eyk maiN aur merey aS'Haab kyaa, tamaam jahaan meiN kisee `aaqil sey na ho sakey. ghareeb musalmaan itnee Hayaa o ghayrat aysi bey-tukaan jur'at itni beybaak tabi'at kahaN sey laayeN?
ke kitaboN ki kitabeN dil sey gaRh leN. unkey maTba'a tarash leN, unki `ibarateN Dhaal leN aur ankhoN meiN aankheN Daal kar sar-e-baazaar chaap deN ke fulaN chapey ki fulaN kitab fulaN Safhey par janab maulvi gangohi sahab ne likha hai key thanawi sahab kafir haiN; fulaN maTba'a ke fulaN saTr meiN janab maulvi thanawi sahab ney farmaya hai key gangohi Sahab murtadd haiN. jo itna ho ley woh hazraat sey mukhatibey kaa naam ley aur waaqayiy siwaa is Tareeqey ke aur kar hi kyaa saktey they ke Hazraat chattees (36) saal key kutub o rasayil ke bar sey subuk dosh hotey:
waqt zaroorat gar namaand gurayez dast bageer o sar e shamsheer teyz[muSeebat ke waqt jab insaan ko bhagney ki bhi Taaqat nahiN rahtee to wo laRhayi key liye kamar bastah ho jaata hai]
yeh khatimey ka band, is akheer daur meiN "madrasah e aliyah devband" aur uskey hawaa khwaahoN hi ka Hissah tha. baayeeN-hama aap key ba'az beycharey naafahm awaam ye ummeed kiye jaatey haiN ke aap munazarah farmayeN gey.
isee key muta'allaq ab tazah shagoofe ne khoorjah sey khurooj kiya hai jo aap ke kisi khalifah kalin saHab ka kahlaya huwa hai; agar che yahaN Sad'haa baar ka tajrubah hai ke aap na bole, na boleN?
MuHammad RasulAllah sallAllahu ta`ala `alayhi wa sallam ko galiyaN likh kar chapni theeN woh chaap chukey aur baar baar chaapi jaa rahee haiN; is par musalmaanan e arab o ajam muTalabah kareN, aap ko kya gharaz paDi hai ke jawaab deN?
kitnee baar khud aap sey muTalabey huwey, jawaab ghaayeb. jalsah e devband meiN khaT bheyja jawab ghayeb. taSdeeq e wakaalat ke liye registeri gayee jawaab ghayeb. aap key yahaN ke shagird modi hamkey, unko mutawassit kiya jawaab ghayeb. janaab shaykh basheeruddin waghayrah ru'usaa e meeruT ko mutawassiT kiya, jawaab ghaayib.
jab aap key aaqaayan e niymat ki wisaaTat par bhi aap ney jawaab na diya to ab khoorjah waley aapko bulwaleN, ye ummeed mawhoom. bahut ach'cha - hazaar baar ginaa bhool gaye, eyk baar phir sahi. aapkey mu'taqideen e khoorjah ne aap hazraat ke aqwaal sey naa-tajrubah-kaari ya apni saadgi sey likh diyaa ke jo soorat yeh faqeer-e-bargah-e-Mustafawi sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam pasand karey manzoor hai.
bahut khoob. idhar sey kitnee baar usool aur ahm SharayiT e munazarah kee taSreeH ho chukee aur ta'ayyun e mabaHis ki gintee hi nahiN. faqeer ney jo khaT jalsah e devband meiN bhejaa us meiN bhi unki yaad dahani thi.
'zafar ad-dinu't Tayyib' aur 'zaruri notes' mulahazah hoN aur un sawaloN ka jawab saaf saaf khaaS apney qalam o muhr o dastakhaT sey `aTa ho.
tamaam ishtihaaroN tamaam muTaalaboN meiN agarche aap ko kaafi o waafi muhlateN deeN aur hamesha beykaar gayeeN key aap to apney iraadoN jeetey jee tak muhlat liye huwey haiN; phir bhi rabT zabT key liye ta'ayyun e muddat laazim hai. yeh sawaalat kuch ghawr Talab nahiN; thoDi `aql waala bhi in par fauran 'haN' ya 'naa' kah sakta hai. magar bah-liHaaz e istiydaad e janaab shara`yi muhlat ke iblaagh e a'azaar ke liye mu'ayyin hai. pesh-kash aur wuSul e khaT sey teen din key andar har sawaal ka ma'aqool jawaab Saaf SareeH taHreeri muhri `inayat ho. yeh aakhri baar hai;
is dafa'a bhi pahlu-tahi farmayi to jin ko aap ney RasulAllah sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam key `ilm e aqdas meiN milaaya unheeN meiN aap ko milaa deney ki hamaarey liye ijaazat ho.
istifsaaraat:
1. tauheen aur takzeeb e khudaa aur Rasool jalla wa `ala o SallAllahu ta'ala `alayhi wa sallam ke ilzaamat e qaTyiyyah jo muddatoN sey aap aur aap key akaabir janaab maulvi gangohi o nanotvi sahbaan par haiN kyaa aap un meiN is faqeer sey munazarah par aamaadah haiN ya honaa chahtey haiN?
2. kya aap ba-Halat e Sihhat e nafs o sabat e aql ba-taw' o raghbat bilaa jabr o ikraah iqraar farmatey haiN ke "Husam al-Haramayn", "tamheed e eeman" o "baTsh e ghayb" waghayrah ke sawaalat o iytiraazat kaa jawaab bi'l muwajahah muhri o dastakhaTi deytey rahenge; yuNhi un jawaabat par jo sawaalat o radd paydaa hoN unka; yahaN tak ke munazarah anjaam ko pahunchey aur bi fazlihi ta'ala Haqq zahir ho.
3. kya aap isee par iktifaa farmayeNge yaa hasbe tarteeb mazkuur "Zafar ad-Din at-Tayyib"; uskey ba'ad "Sub'Han as-SubbuH" o "kawkabutu'sh shihabiyyah" o "sall as-suyuf" waghayrhaa mere rasayil ke muTaalabat sey apne akabir gangohi saHab o ismayil dehlwi saHab ko subukdosh karenge?
4. agar aap apney hi aqwaal ke zimmadar hoN aur apne akabir janab gangohi o nanotvi o dehlwi saHibaan par se daf'a e kufr o zalaal ki himmat na farmayeN to itna irshaad ho ke yahaN do fareeq haiN;awwal musalmaanaan e ahle sunnat e arab o ajam. duwam sahibaan e mazkoor gangoh o nanota o dehli ma'al atba' wa'l adhnaab wa man yalay.
janab agar fareeq e awwal sey haiN to alHamdulillah dhalika ma kunna nabghi [alHamdulillah, ham yahi chahtey haiN] taHreer farmaa deejiye ke janaban e gangohi o nanotvi o dehli sey baree huN; woh apne aqwaal o kufr zalaal o tauheen o takzeeb e Rabb e zu'l jalaal o maHboob e zi'l jamaal sallAllahu ta'ala `alayhi wa sallam ke bayis wayse hi haiN jaysa un ko `ulama e Haramayn shareefayn likhtey aaye aur jaysa unki nisbat "Husam al-Haramayn" o "fatawa al-Haramayn" waghayrahuma meiN likha hai.
us waqt bilaa shubah un key aqwaal ka muTaalabah aap sey nahiN ho sakta balkey aap khud bhi un key atba'a o aznaab sey muTalabah o muwakhizah meiN shareek honge. aur agar janaab fareeq e duwam sey haiN to un ke aqwaal khud aap ke aqwaal haiN; phir jawaab e muTaalabat sey pahlu tahee kya ma'ani?
aur zahir iska mazannah nahiN key janab fareeqayn sey judaa hokar kisi teesre Tayifah masalan rafizi, khariji, qadiyani, neychari waghayrah meiN apney aap ko gineN aur bi'l farz aysa ho to uskee taSreeH farmaa deejiye; yuN bhi us muTalabeh sey aap ko bara'at hai.
5. waqayi aap ne apne yahaN ke mutakallim e akbar chandpuri saHab ko jalsah e devband meiN munazarah e mazkoor ke liye apna wakeel e muTlaq o mukhtaar e `aam kiya thaa ya unhoN ney mahaz jhooT mash'hur kar diya? bar taqdeer e awwal kya sabab ke usee ki taSdeeq ke liye jo card registeri shudah gayaa; aaj janaab ko aaThwaaN (8) mahinah hai ke jawaab na diyaa.
6. woh aap ney wakeel kiya ya chandpuri khud ban bayThey? bahr Haal aap sey uskee taSdeeq chahna waysaa hi jurm aur unheeN muhazzib khiTaboN kaa mustaHiq hai jo chandpoori Sahab ney taHreer farmaye yaa unka wo za'am mahz haziyaan o mukabarah o bey-aqli o junoon o zabaan daraazi o dareedah dahnee hai? bar taqdeer e awwal shar'a `aql `urf kis kaa qaanoon hai ke zayd jo mahz apnee zabaan sey wakeel e `amr hone kaa muddayee huwaa, usee qadr sey uski wakaalat saabit ho jaye aur taSarrufaat woh jo `amr ke maal o ahl meiN karey nafiz o taam qaraar payeN agarche `amr hargiz uskee tawkeel ka iqraar na dey. bar taqdeer e saani kya aysa shakhs kisi `aqil key nazdeek qaabil e khiTaab e `uluum khuSusan masayil e deeniyyah ho sakta hai ya mardood o maTrood o naalayiq e mukhaTibah hai?
7. "sayfu'n naqee" kee nisbat bhi irshaad ho; aakhir aap bhi Allah Wahid o Qahhar ka naam letey haiN? usee WaHid Qahhar Jabbar kee shahadat sey batayiye ke yeh Harakaat jo aap ke yahaN ke `ulama munazireen kar rahey haiN saaf o SareeH unkey `ijz kaamil aur nihayat gandee Hamla e buzdil ki daleel e raushan haiN ya nahiN?
8. jo hazraat aysee Harakaat aur itnee bey takalluf ikhtiyaar kareN, jo unko chapwayeN beycheN baaNTeN, shayiy aur aashkara kareN; jo unko peysh kareN, Hawalah deN, un par iftikhar kareN, jo umoor e mazkoorah ko rawaa rakheN; tarke insidad o inkar kareN; kisee `aqil ke nazdeek laayiq e khiTaab Tahar saktey haiN? ya saaf zahir ho gaya key munazarah e aakhir ho gaya?
munazarah, munazarah ka jhooTa naam lene waaley bey-ruH phaDhaktey bey-jaan sisaktey haiN: laa yamuutu feeha wa laa yaHyaa (us meiN na woh marey na zinda rahe)
9. Us WaHid Qahhar Jaleel o Jabbar ki shahadat sey yeh bhi bataa deejiye ke woh risalah e mal'uunah jo khaaS janab ke madrasah e devband sey isha'at ho raha hai aur jis key aakhir meiN aap key devbandi maulvi ka i`ylaan likha hai ke:
bandey ki ma'arifat risalah "sayf an-naqee `ala ra'as ash-shaqee" bhi mil sakta hai; qeemat 20 anna aur maulana muhammad ashraf ali sahab waghayrah buzurgan e deen ki jumlah taSaneef bhi mil sakti haiN. raaqim bandah sayyid asghar Husayn `ufiya `anhu madrasah e islamiyah devband, zilah saharanpur.
is isha'at ki aap ko iTTila'a to zahir, magar ismeiN aap ka shooraa nahiN aap ki shirkat hai ya nahiN. NahiN to aap kee raza o raghbat hai ya nahiN? nahiN to aap ko sukuut aur sukuut ka maHSal ijaazat hai ya nahiN? nahiN to aap ney kya insidaad kiya? aur usmeN apnee poori qudrat Sarf ki ya beyparwaahi barti? bar taqdeer e awwal asar kyuN nahiN hotaa? bar taqdeer e saani ye bhi neem ijaazat hai ya nahiN?
10. Usee Azeez Muqtadir Muntaqim Mutakabbir Azza Jalaluhu ki shahadat sey yeh bhi Hasbatan lillah farmaa deejiye ke Halaat o Maqaalaat jo "Zafar ad-Din al-Jayyid" taa "ishtihaar e hashtam" az naamah e hazirah musamma bah: "abhas e akheerah" meiN mazkoor huwee sab Haqq o Sawaab haiN yaa un meiN kaun saa khilaaf waaqiy hai? aur jab sab Haqq haiN to munazarah ka Talib kaun raha aur baraabar faraar bar faraar, gureyz bar gureyz par kis ney qaraar kiyaa? Bayyinuu Tuujiruu. [Bayan keejiye Ajr paayiye]
Rabbi'hkum bi'l Haqq; wa Rabbuna'r Rahmanu'l Musta'anu `ala maa taSifuun. [ay mere rabb! haqq faysala farmadey aur hamarey rabb raHman hi kee madad darkaar hai un baatoN par jo tum banaatey ho].
------
janaab maulvi thanwi sahab!
yeh das sawaal haiN Sirf waqiyat yaa aap ke iraadah o himmat sey istifsaar ya saaf waazihaat jin ka jawaab har zee `aql par aashkaar; baayeeN hama jawaab meiN janaab ko teen din ki muhlat dee gayee agar janaab ke nazdeek yeh bhi kam hai to bey takalluf farmaa deejiye aap jis qadar chaheN faqeer tausee'y karney ko haazir hai; magar jawaab khud deejiye.
ab wakalat ka zamanah gaya; wukala'a kaa haal khul gaya; muddatoN janab ko ikhtiyaar e tawkeel diya ke aap ghabraatey haiN to jisey chaheN apney muhr o dastakhat sey apna wakeel banaayiye. baar baar rasayil o ishtihaarat meiN uski takraar kee magar aap ney khamoshi hi ikhtiyaar ki.
aur bi'l aakhir chandpuri sahab mahaz ba zor e zabaar khud aap key wakeel baney jis ka anjaam woh huwa.
kya aap aalim nahiN? kyaa aap wuzuuh e Haqq nahiN chaahtey? kyaa aap in kalimaat ke qaayil nahiN? kya aap par khud apna tabriyah laazim nahiN? aap doosroN ka saharah choRiye aur Allah ko maan kar taHqeeq e Haq sey munh na moDiye; hayrani o pareshani meiN awaam e mu'taqideen ka dam na toDiye.
haaN haaN. aap sey muTalabah hai; aap par muwakhizah hai. aur aap jawaab deejiye. apney qalam o khaT se deejiye. apne muhr o dastakhaT sey deejiye. warnah Saf inkar kar deejiye ke `awam ki chapqalish to jaaye?
Haqq ahl e fahm par zahir ho chuka hai; aap ke in mu'taqideen par bhi wuzuuh paye; phir un meiN sey jisey tawfeeq ho zalalat choR kar hudaa par aaye.
WAllahu yahdi man yashaa'a ilaa Siratin mustaqeem; HasbunAllah wa niyma'l wakeel; wa laa Hawla wa laa quwwata illa billahi'l `aliyy al-`aDHim; wa Sallallahu ta'ala `ala sayyidina wa mawlana wa naSirina wa ma'wana Muhammad wa aalihi wa SaHbihi ajma'yeen.
dastakhat.faqeer Ahmed Raza Khan Qadri `ufiya `anhu aaj bastam dhi'l qa'adah san 1328 hijri roz chahar-shunbah ko faqeer ney khud likha aur meri muhr o dastakhaT se imzaa huwa.